Main Huin Dil Meri Kahani Suno..


Khuda ne mujhe banaya bade pyar se aur dil nam rakh diya,
Mujhe banakar insan ke seene me rakkha gaya dhadakne ke liye,
Main khus huaa bat jankar,
Ki main bhi dhadkunga kisi ke liye,
Magar insan ko kaha thi meri kadar,
Pehle basaya mujhme kisi khas ko,
dediya mujhe kisi khas ko,
Jab ban gayi wo adat meri,
fir keh diya use bhuljane ko,
Main rota raha tadapta raha dhadakta raha bas uska nam lekar,
fir mujhe tod diya gaya bejaan samjh kar.
Main to dil huin chup rehta huin,
seene me band rehta huin,
sehta huin har dard ko,
fir bhi main jeena ka sahara deta raha,
Mujhe aaj bhi koi nahi samjh paaya ki main kya chahta huin,
Main to Dil huin bas pyar he chahta huin aur pyar he banata huin,
Kuch nahi bas chorana na mujhe,
Akhir main bhi khuda ka banaya huaa huin,
Bas pyar se dhadakne do mujhe,
Pyar pane do mujhe,
Jeena chahta huin jeene do mujhe,
Stumble
Delicious
Technorati
Twitter
Facebook
Yahoo
Reddit
Feed

No comments:

Post a Comment